Gyani-Dhyani Baba Ji

Ek Bahut Hi Pahunche Hue Sant The... Gyaan, Dhyaan, Sadhna Ke Bade Hi Jaankaar... Hamesha Muskurate Rahte The...

Aane Waale Bhakt Aur Shishya Unse Ulta-Seedha, Oot-Pataang... Kuch Bhi Puchein... Hamesha Muskura Ke Jawaab Dete The... Gussa Toh Kabhi Aata Hi Nahin Nahin Tha... Gajab Ka Dhairya Tha... Patience Ki Jeeti-Jaagti Misaal The.

Dur-Dur Tak Unki Khyati Thi. Ek Bar Ek Reporter Ne Unka Interview Lete Hue Pucha, "Baba ji, Aap Ke Guru Kaun Hain ? Aapne Dhairya, Dhyaan Aur Sadhna Ki Shiksha Kahan Se Li?"

Sant Ne Us Patrakaar Ki Taraf Bade Hi Prem Se Dekha Aur Mushkurate Hue Kaha, "Beta, Maine 20 Saal Sarees Aur Ladie Suits Ke Showroom Mein Kaam Kiya Hai."

Comments

Popular posts from this blog